Mutton malai kabab.... Ingredients:
Bakre ke gosht ka barik qimah -----1 kg
Onion chop----- 2 darmiyani
Hari mirch (chop) -----2
Lal mirch pwdr ------1/2 tsp
Namak -------hasbe zaiqah
Pisa hua garam masala------1/2 tsp
Pisa hua dhanya -----1 tsp
Bread slice----------1
Doodh ----1/2 cup
Anda (pheinta hua) -----1/2
Maidah--------- hasbe zaroorat
Fresh cream-----1/2 cup
Hara dhanya (chop) ---------1 tbsp
Adrak (chop) --------1/2 tbsp
Cooking oil --------hsbe zaroorat
Cooking Procedure:
Aadhi cup doodh mein bread ke slice ko bhigo dein. Gehre cup mein qimah, onion, green chili, adrak, hara dhanya aur bread slice doodh se nikal kar nichor kar mila lein.
Namak, lal mirch , pisa hua dhanya, garam masala aur anda bhi qime mein daal hathon se achi tarah mix karein
Qime k chhote chhote gol shape ke kabab bana lein. Maidah aik plate mein phaila kar kababon ko is mein role karein.
Frying pan mein oil garam karein, tamam kababon ko golden tal lein.
Baking dish mein kabab rakh ka uper se fresh cream daal dein phir namak mirch garam masala aur 1 tbsp sabz dhanya chirak kar pehle se 200 0c garam oven mein 20 minute karein.
Serving plate mein nikal kar kababon ke uper chop hara dhanya chirak dein.
No comments:
Post a Comment